Friday, January 21, 2011

Reza-e-Kaanch ki soorat mein bikhar jata hun

Reza-e-Kaanch ki soorat mein bikhar jata hun,

Mein teri yaad mein jab hadd se guzar jata hun,

Ab gurezan hai wo milnay se jo kehta tha,

Tum se miltay hi main kuch or nikhar jata hun,

Roz khata hun tujh yaad na karne ki qasam,

Roz wadon se main apni mukar jata hun,

Ik tamasha sa bnaya hai mohabbat ne teri,

Log kastay hain awaazain jidhar jata hun,

Har ik gham pe khaya hai Mohabbat ka dhoka,

Ab koi pyar se pukare to darr jata hun……

***********************
Posted By:- Rana Nasir Ali
***********************

1 comment: